Monday, August 11, 2008

kyu?

kyu aaj itna hinsak hai tu,
kyu pratishoudh kii chintan mein tu,
kyu taal raag se door tu,
kroth aakrosh kaa roop tu......

mann chanchal hai main maanta,
satya k liye kiye sang garsh ko maanta...
par lekhan aur shabad k bhasha chhod ke,
astra se hii ladna kyu tu jaanta.....

yeh ahankaar hai yaa apna swarth hai,
yeh parwaah hai yaa pyaar hai,
har kroth kaa karan boond bhar hi hota hai,
jo sagar mein mil sabko dubota hai,
jab kaaya apas tat par aati hai,
bas ek shaant shav hii reh jaati hai....

No comments:

Related Posts with Thumbnails