Sunday, October 19, 2008

Shayad dosti yahii!!


Jo baat kehne ko hai, itni zaroori sii nahi!
Koi shabd naata samjhae, mumkin abb nahii!
Yaadein ho sopni, aesi bhi majboori nahii!
Naa jaane kyu likh raha main, shayad dosti yahii!

Har raaz apna tujhe hai batana,
Teri har baat ko apna banana,
Tu rakh sambhaal jitni ho baatein,
Mere har lamhr par behisaab hakh jatana!

Tera mera jaese ho naata purana,
Abb dosti ko aakhiri saans tak hai nibhana,
Jis pal mujhe tujhe chhod jaana hoga,
De duga Rab ko agle janam milne ka bahana!

Jiss pal lage kisi mode pe akela hai tu,
Kissi safar ke dohrahe pe baitha hai tu,
Dekh, ek raasta meri parchhaai dekhaega,
Rakhna sambhaal apni roshni, parchaai kho na baithe tu!

Aawan jawan hoga khushi gam k mausam ka,
Ghulna dhulna hoga har taraf rango kaa,
Aanam faanam kar baithoo koi bhool toh,
Har pal ko na dosh dena unn pal kaa!

Jo baat kehne ko hai, itni zaroori sii nahi!
Koi shabd naata samjhae, mumkin abb nahii!
Yaadein ho sopni, aesi bhi majboori nahii!
Naa jaane kyu likh raha main, shayad dosti yahii!

Wednesday, October 1, 2008

koi nahii...hai koi nahii...



Aaj ek pal k liye toh laga jaese mera sab kuchh chhot raha hai, par agle hii pal muskaan phir laut aai, abb dil ne jaan liya tha jiss SAB kii soch raha hoo woh toh hai hii nahii.....


Koi nahii, koi nahii hai paas naa koi door,
koi nahii, koi nahii yaha dard naa koi noor.

Chahe kitna bhi tha uss raat mein andhera,
din mein kon kahega woh diya hai mera,
pal pal chhin tii mitt ti uski pehchaan sang,
adhura saa lagega uska wahi pe basera.

Koi nahii, koi nahii hai paas naa koi door,
kahi nahi, kahi nahi koi apeksha naa shabd jo karein majboor.

Ek diya hai jo intezaar mein apne ko jalae rehta hai,
sameer k umeed mein lau ko sehlaane baitha hai,
diya naa jaane sameer kaa chaand sitaro se hua dostana kyu?
par tapish aur aanshuo sang chup rehkar hi sab kehta hai.

Koi nahii, koi nahii hai paas naa koi door,
par abb naa saath usse kabool naa judai manzoor.

Magan mera yaar uss jashne raat mein jo hai suhaani,
aur idhar koi chalega dohraane beete din raat kii kahani,
RAB na karein, par agar ho zaroorat usko uskii chhute MEET ki,
itni badi duniya mein kya woh dhoond paega itni aasaani???

(shayad yeh daastaan abb kuchh samajh aajae..
ek dost tha mera, sabke liye hamesha ready, koi problem ho woh solve karega, kyuki woh uski problem ban jaati thi. Ek dinn mila usse ek pehchaan waala badi problem mein, raha nahii gaya usse kyuki usse woh pehchaan waala jo kal tak uske liye jyada importance nahi rakhta hai aaj apna laga.
kii har koshish uski life mein khushiya laane kii, aur haa uss kaali raat mein ussi ne lai thi khushiyo ko roshni. Phir hua din, kya abb uss diye kii lite kii zaroorat hai kissi ko?
diye mein samaai uski aatmaa dinn kii dhoop mein udd jaati hai, aur phir uska waha hona koi maaene nahii rakhta.

Dinn beet jaatein hai woh mera dost intazaar mein kii abb uska woh naya apna usse apni zndagi k kuchh pal baatega, usse baataegaa apni khushiya aur gam phr.
par abb woh apni duniya , ani khushiyo mein magan ho chuka hai.

ek jagah ban rahii hai khushiya, aur waha (diya) mera dost intzaar mein kii aaj aaegi usse meri yaad. yaad aati toh hai par usse nahii, kissi aur raahi ko jisse zaroorat hai kissiki jo uski mushkil door karde, phir shuru ho jaati hai wahii kahani. par abb bhi mera dost wahii hai, apne beetein apne k paas, kii shayad abb usse uski zaroorat ho. par abb thodi der ho chuki hai....)
Related Posts with Thumbnails